Breaking

Translate

Featured Post

Qayamat Kab Ayegi | Qayamat Ka Bayan | Hadees Sanan Ibn Maja No.4075 | In Hindi | In Urdu | In English

Qayamat Kab Ayegi | Qayamat Ka Bayan | Hadees Sanan Ibn Maja  No.4075 | In Hindi | In Urdu | In English حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عَ...

Thursday, April 23, 2020

Paancho Namzo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders


Paancho Namzo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders

بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ

Assalam Alaikum Naazreen

Mai Mohammad Hussain khan ek bar fir aapka kahir maqdam karta hun apne is Website par jis ka Naam hai  #Islamic Wonders

Doston hamesha ki tarah shruru karne se pahele aapka bahot bahot shukriya ki aap dobara humare is Website  par tashreef layen, aap se guzarish hai ki hausla afzai ke liye hume comment ya fir email ke zariye apni qeemti ya salah aur mashware se nawaze, sath hi apne dost ahebab ko bhi sawab ki niyyat se share Karen Jazak Allah.

Sath hi humare YouTube Channel par visit  Karen - #Islamic Wonders

New : Dosto bade masarrat ke sath aapko ittela de rahe hain ki humne ek aur website add ki Hai (Gulshan-e-Hadees) jiska link aapko neech de rahae hai ya sath hi aap Main Menu baar se bhi uska intekhab kar sakte hain, Jisme hume tamam Hadeeson ka Majmua karne ki niyyat rakhte hain. Insha Allah agar Allah ka Fazl auaapka sath yun hi raha to jald hi use mukammal taur par complete kar lenge Insha Allah.

Paancho Namzo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders


Nazreen Aajka humara topic mere liye bahot hi khaas hai aur ummid karta hun ki aap logo ko bhi ye bahot pasand ayega.

Dar Asal dosto aaj jis topic par hum aaj baat karenge wo Namaz ki farziyat ko leke hain,
Naazreen jaisa ki aap sab jaante hain ki Allah ne shuru me ( 50 ) pachas waqt ki Namazen hum par farz ki thi. Aur fir Aap Swallallaho Alaihiwasallam ke sadqe paitalis 45 Namazen maaf kardi, maaf hi nahi balki ye bhi karam kiya ki in paanch Namazon par pachaas Namazon ka sawab diya jayega.
To aap mai bakhoob hi samajh sakte hain ki 24 ghanto me pachaas Namazen farz hona koi baat nahi, balki ye iski gair mamuli ahemiyat ki dalil hain.

Lekin doston shayad ye bahot kam log jaante honge ki paanch namazon ki asal haqeeqat kya hai? Aur ye paanch namazen hum par kaise farz hui, ya yun kahiye ki hum se pahele ye Namaz kis ne ada ki in paanch namazon ki asal haqeeqat kya hai?

To Aap se guzarish hai ki Blog ko dhyan se Padhe aur pasand ane ki surat me like zarur Karen sath hi dost ahebab ko bhi zarur share Karen,aur agar aap humare is site par naye hain to hume follow Karen  Islamic Wonders ko subscribe karna na bhule taaki aapko humare aane wali naye  articles ke notifications aap ko asani se mil sake, q ke dosto Islam ke aise anchue facts hum blog ki shakal me aapke paas late rahegne Insha Allah


Naazreen ye baat bahot kam log  jaante hain ki ki jo Paanch waqt ki Namaze hum ada karte hain dar asal sabse pahele ye Namaze kisne ada ki hai  aur ye kin ahemiyat ki hamil hain, to naazreen rivayaton me ata hai ki

Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders

Namaz e Fazar :  sab se pahele ye Namaz Hazrat Aadam Alaihissalm ne ada ki,


Wo aise ki jab Allah ne Aap Alaihissalm  ko Jannat se se zameen par utara, us waqt zameen par raat ka andhera naudaar tha, aur Aap Alaihissalm Jaanat ki raoshnai se duniya ki tareekiyon me jalwa afroz hue the, andhera itan Ghana tha ki us waqt hath ko hath sujhai na deta tha, aur Aap Alaihissalm  ko badi tashwish aur pareshani lahaque hui ke ye duniya itni tareek hai, yahan zindagi kaise guzregi? Na koi cheez nazar aati hain, na hi koi jagah samjh aati hai, ki kahan hai aur kaha jay? Har taraf andhera hi andhera hai, chinancha Aap Alaihissalm   ko khf mahesus hone laga.
Iske baad ahista ahista ahista roshni hone lagi aur subah  ka noor chamakna shuru hua, aur subha sadiq zahir hui to Hazrat Aadam Alaihissalm  ki jaan me jaan aye, is waqt Aap Alaihissalm  ne suraj tulu hone se pahele do 2 rakat Namaz bataur shurana ke ada ki, ek rakat raat ki tareeki khatm hone ke liye aur dusri rakat din ki raoshi namudaar hone ke liye bataur shukrana ada ki.
To Naazreen ye wo do rakat Namaze Fajar hai jo Allah ko itni pasand ayee ke Apne Maheboob Swallallaho Alaihiwasallam ki Ummat bakh par farz farmadiya.

Nazreen is se hum bakhoob hi andaza laga sakte hain ki Namaz fajar kitni ahem hain.
Aur hum gunahgaar isko apne bistaro me zaya karten chale arahe hain. Doston zara hum apne imaan ka jayza le ki hum Ummid rakhte hain ki Aap Swallallaho Alaihiwasallam humari shifaat karenge aur beshak zarur karenge Allah ne wada jo karliya hai.
Lekin samjhne ki zarurat hain ki jo imaan hume bistar se utha kar musalle tak nahi leja sakta, kya wo qabr se utha kar jaanat tak leja payega?
Allah sab se pahle mujhe aur sari Ummat ko Panjgana Namaz qana Namaz qayam karne wala banade Ameen

Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders

Nazreen aage badhte hain,

Nama e Zohar :  sab se pahele ye Namaz Hazrat Ibrahim Alaihissalm ne ada ki,


Isi tarah Zohar ki 4 rakat jo ham ada karte hain yah sabse pahle Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne ada farmaee thi , Aur use waqt ada farma thi jis waqt Aap Alaihissalm apne bete Hazrat Ismail Alaihissalm ko zibah karne ke imtihan mein kamyab ho gaye the.
Ek rakat to is imtihan me kamyabi per shukrana ke taur per ada farmaee ki Ya allah tera shukr hai teri madad se main is imtehan mein kamyab ho gaya. 
Dusri rukat is baat ke shukrane mein ada farmaye ke allah tala ne Hazrat Ismail Alaihissalm ke vaaste jannat se ek medha ya  dumba utaar diya Kyunki yah bhi allah tala ka ek khususi inam tha isliye iske shukrane ke taur per dusri rakha dada farmaee.
Teesri  rakat is shukrane mein ada farmae ke Allah tala ne is Mauke per barahe rast Hazrat Ibrahim Alaihissalam se khitab karte hue farmate hue kaha ki
“Aye  Ibrahim bila shubah tumne apna khwab saccha kar dikhaya hum neko karon ko isi tarah badla diya karte hain”
Ise khitab ke shukrane ke taur per teesri  rakat ada farmai
Chauthi rakat is baat ke shukrane mein ada farmaee ke Allah tala ne aisa sabir beta ata farmaye jo is sakht imtihan ke andar bhi niyat sabir ho matahmill raha ,Aur ek sabr ka pahad ban gaya.
Agar vah mutzalzal ho jata to mere liye Allah ka hukm pura karna dushwar ho jata chunache  khwab dekhne ke bad, bete hi se mashwara kiya ke bete maine yah khwab dekha hai.  tum gaur kar lo tumhara kya irada hai?
Doston Qurban Jayiye aise bête par
 bete ne jawab diya abba jaan Aapko jo hukm mila hai wo aap kar gujariye hai an-qareeb Inshallah aap mujhe sabr karne walon mein se payenge
Aise sabir aur mutahmmil beta milane ke shukrana mein chauthi rakat ada farmaee
Is tarah yah char rakat Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Zohar ke waqt ada farmay thi
Yahi wo  4 rakat namaz hain jo Allah tala ko itni pasand aayi ke apne Mahebub sarkare do alam Swallallaho Alaihiwasallam ki ummat pat  farz farma di

Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders

Namaz e Asar :  sab se pahele ye Namaz Hazrat Yunus Alaihissalm ne ada ki,


Isi tarah namaz asar ki farziyat yun hui ke
Namaz asar ki 4 rakat sabse pahle Hazrat Yunus Alaihissalm  ada farmaee

Huwa  yu ke jis waqt Aap Hazrat Yunus Alaihissalm  machhali ke pet mein the vahan unhone Allah tala ko pukara jisko allah tala ne is tarah nakal farmaya 

“Chunache Unhone hamen tarikiyon mein pukara ke la ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zalimeen  .. To humne inki dua qabool kar li aur humne inko is ghutan se nijat de di jo unko machhali ke pet mein ho rahi thi isi tarah ham imandaro ko nijaat dete hain “

Lehaza jab allah tala ne unko machhali ke pet se bahar nikala to unhone shukrane ke taur per char rakat namaz ada ki aur 4 rakaten isliye Ada farmaee thi ke Allah tala ne unko 4 tarikiyon se nijaat ata farmaee thi

 Ek machhali ke pet ki tariki se
Dusre pani ki tariki se
Teesri dil ki tariki se
Aur chauthe raat ki tariki se

In 4 tarikiyon se nijaat per shukrane ke taur per aapane asar ke waqt  ada ki jo Allah ko itni paband hui ke Humare Sarkaar ko humare liye farz qarar dediya Masha Allah


Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders

Namaz e Magrib :  sab se pahele ye Namaz Hazrat Daud Alaihissalm ne ada ki,


Nazreen maghrib ki teen rakaten sab se pahle Hazrat Daud Alaihissalm ne ada farmaee, wo isliye ki Aap Alaihissalm se koi na munasib kaam sarzad hogaya tha,
Yaha ek baat zahen me rakhna bahot zaruri hai ki agarche Ambiya Alahissalam se gunah sarzad nahi hote, wo gunaho se maasum hote hain, lekin koi na munasib kaam ya koi lagzish, ya koi khilafe adab koi kaam zarra barabar bhi sarzad hojay to is par bhi inhe tanbiya ki jaati hain, aur in ko tawajjo dilai jaati hain aur unki islah ki jaati hain,
Baher haal, Hazrat Daud Alaihissalm  ki kisi lagzish ke baad jab Allah tala ne in ki bakhshish ka elaan farmaya ke “fagfirna lahu zalik” yani humne unki maghferat kar di” to is waqt Hazrat Daud Alaihissalm  ne is bakhshish ke shukrane ke taur par magrib ke waqt 4 rakaton ki niyyat baandhi, aur jab teen rakaten puri kar chuke the to iske baad achanak Aap Alaihissalm ko fir se apni wahi lagzish ahesas hua aur Aap Alaihissalm par aisa galba taari hua ke foot foot kar rone lage aur aisa girya taari hogaya jis ki shiddat se aap chauthi rakat puri na karsake,
Chunanche Aap Daud Alaihissalm  ne teen hi par iktefa karliya, q ke chuthi rakat padhen ki Aap Alaihissalm  ki Himmat na rahi

Ye hi wo 3 rakat Namaz hai jo Allah ne bahot pasand farmaee aur Apne sab se pyare Maheboob ki Ummat ko bhi ata kardi jis hum Namaz Magrib ke naam se ada karte hain.

Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders

Namaz e AIsha :  iske bare me do qaul hain ek qual ye ki  sab se pahele ye Namaz Hazrat Musa Alaihissalm ne ada ki,


Jis waqt aap hazrat shoaib alaihissalam ke pass 10 sal kam karne ke bad apne allah ke sath mishra wapas tashrif la rahe the
Aur aapki sharir per hajat use waqt ummid thi  Wiladat ka waqt kareeb tha 
aur safar bhi khasa taweel  tha is vajah se aapko badi fikra lahak thi ki yah itna lamba safar kaise pura hoga
Dusre apne bhai hazrat haroon haroon Alaihissalm ki fikra thi
 teesre firaon jo aapka jaani dushman tha iska aur uski taraf se fikr lahak thi 
Chauthe hone wali aulad ki fikr lahak thi
inhi Pareshaniyo ke sath aap safar kar rahe the. fir safar ke dauran aap sahi raste se bhatak gaye, jiski vajah se pareshani mein aur izafa ho gaya, isi pareshani ke aalam mein chalte chalte aap kohe toor pahad ke kareeb uske magribi aur daheni  janib pahunch gaye 
Raat andheri thandi aur barfani thi aheliyan mohtarma ko wiladat ki taklif shuru ho gai 
Aap pathar se aag sugane ki koshish karte rahe magar vah na sulgi
isi hairani aur pareshani ke aalam mein dekha ke kohitoor pahad per kuchh aag jal rahi hai 
To aapane apne gharwalon se kaha ki aap yahan ruke rahen  main kohe toor pahad se aag la shola lekar aata hun jab aap kohetoor pahad per pahunche to Allah tala se ham kalami kashyap hasil hua
A ur aapko bature khas ham kalami ki nemat se navaza gaya
Allah tala ne farmaya 

“Jab vah use aag pass pahunche to unko hamari janib se awaaz de mayo key Aye Musa Alaihissalam! main tumhara hun aap apne jute utaar de isliye ki aap muqaddas wadiye tavi mein ho aur main aapko apni risalat ke liye muntakhib kar liya hai, Lehaza jo vahi aapki taraf bheji ja rahi hai usko gaur se sune”

Bahar hal jab allah tala ki jaanib se yah inam hasil huwa to aapki charon pareshaniyo ka khatma ho gaya, aur  Isi mauke par isha ke waqt Hazrat mMusa Alaihissalam ne in 4 pareshaniyo se nijat ke shukrane mein 4 rakat namaz ada farmay 

Yahi wo 4 rakat Namaz hai jo Allah tala ki bargah mein itni pasand ki gai ki aap Swallallaho Alaihiwasallam ki ummat per unko farz kar diya

Aur ek dusri riwayat main yah bhi hai isha ki namaz sabse pahle hamare aur aapke Aaqa Janabe Muhammad Rasulullah sallallahu alaihi vasllam ne ada farmai thi

***End***


Likhne me bahot waqt lagta hai agar koi galati dekhe to please islah ki niyyat se comment me zarur batae please
Pasand aane ki surat me dost o ahebab ko bhi share Karen, sath ise video ki shakal me samat karne ke liye humare YouTube Channel Islamic Wonders ko bhi zarur visit kare aur subscribe kare.

Isi ke sath ab roukhsat hote hain fir muaqat hogi ek nay Topic ke sath Allah Hafiz and Jazak Allah

Is Blogg ko video ke shakal me dekhne ke liye link par click karen

YouTube Channel : Islamic Wonders

2 comments:

  1. We are waiting for Haikale Sulemani Article please post ASAP

    ReplyDelete
  2. We Are waiting for Haikale Sulemani Article please post ASAP

    ReplyDelete

Please do not enter any spam link in the comment box.