Breaking

Translate

Featured Post

Qayamat Kab Ayegi | Qayamat Ka Bayan | Hadees Sanan Ibn Maja No.4075 | In Hindi | In Urdu | In English

Qayamat Kab Ayegi | Qayamat Ka Bayan | Hadees Sanan Ibn Maja  No.4075 | In Hindi | In Urdu | In English حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عَ...

Sunday, April 19, 2020


Taboote Sakina Kya hai? | Yahudi Taboote Sakina kyu Dhoond Rahe hain | Taboot e Sakina

بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ

Assalam Alaikum Naazreen

Mai Mohammad Hussain khan ek bar fir aapka kahir maqdam karta hun apne is blog par jis ka Naam hai  #Islamic Wonders

Doston hamesha ki tarah shruru karne se pahele aapka bahot bahot shukriya ki aap dobara humari is website par tashreef layen, aap se guzarish hai ki hausla afzai ke liye hume comment ya fir email ke zariye apni qeemti ya salah aur mashware se nawaze, sath hi apne dost ahebab ko bhi sawab ki niyyat se share Karen Jazak Allah.

Sath hi humare YouTube Channel ko bhi subscribe Karen YouTube- Islamic Wonders

New : Dosto bade masarrat ke sath aapko ittela de rahe hain ki humne ek aur website add ki Hai (Gulshan-e-Hadees) jiska link aapko neech de rahae hai ya sath hi aap Main Menu baar se bhi uska intekhab kar sakte hain, Jisme hume tamam Hadeeson ka Majmua karne ki niyyat rakhte hain. Insha Allah agar Allah ka Fazl auaapka sath yun hi raha to jald hi use mukammal taur par complete kar lenge Insha Allah.

https://gulshanehadees.blogspot.com/

Taboote Sakina Kya hai? | Yahudi Taboote Sakina kyu Dhoond Rahe hain | Taboot e Sakina

Dosto aaj ka humara Topic hain “Taboot e Sakina”  aur aaj hum isi topic pe baat karenge ki Aakhir

1)      #Taboot e Sakeena kya hai?
2)      #Taboot e Sakeena ka Islam se kya taaluk hai? Aur Quran me Allah ne kaha zikr farmaya hai.
3)      #Yahudi ise kyn dhoond rahe hain?

Aap se guzarish hai ki Article ko dhyan se padhe aur pasand ane ki surat me like zarur Karen sath hi dost ahebab ko bhi zarur share Karen,

Taboote Sakina Kya hai?

Nazreen sab se pahele ye jaanna bahot zaruri hai ki Taboot e Sakeena, kya hai, Doston dar asal ye shamshad ki lakdi ka bana hua ek sandooq hai jo Hazrat Adam Alaihissalm par Nazil hua tha, ye Aap Alaihissalm ki aakhri zindagi tak aapke paas hi raha. Fir bataor virasat ke ek baad digar aapki auladon ko milta raha. Yahan tak ki ye Taboot Hazrat Yaqoob Alaihissalm taka a phuncha jo ki aapko virasat me mila. Aur fir aapki aulaad bani israil ke qabze me raha. Aur Hazrat Musa Alaihissalm ko mil gaya, to Aap Musa Alaihissalm is me Taurat Shareef aur apna khaas khaas saman rakhne lagen.

Ye bada hi muqaddas aur ba barkat sandooq tha, bani Israil jab bhi kuffar se jang karte the, aur jab bani Israil kuffaron ke lashkaron ki kasrat (yani Bahot zyada tadad) aur unki shaan o shaukat ko dekh kar sahem jaate aur unke seeno me dil dhadakne lagte to wo is sandooq yani Taboot e Sakeen ko apne aage rakh lete the. To Allah ka unpe fazl hota aur is sandooq se aisi rahemato aur barkato ka zahur hota tha ki mujahedeen ke dilon me sukoon wa itminaan ka samaan paida hojata tha, aur mujahedeen ke seene me larazte hue dill patthar ki chattano ki tarah mazboot hojate the, aur jis qadar sandooq aage badhta tha aasman se “Nasrum minallahe  wa fathun qareeb” ki basharat e azma nazil hua karti aur fateh mubeen hasil ho jaya karti thi.Aur jab bhi bani israil me koi ikhtelaf ya kisi cheecz ko lekar jhagda ya do rai hoti, to log isi sandooq se faisla karate the, aur is sandooq se faisle ki awaz aur fateh ki basharat suni jaati thi.
 
Dar asal bani israil is sandooq yani Taboot e Sakeen ko apne aage rakh kar aur isko waseela bana kar dua maangte the, aur unki dua Allah ke fazl se qabool hojaya karti thi, aur balaen aur musibato, yaha tak ki har waba aur pareshaniya se nijaat pate the. Algarz ye Taboot e Sakeena bani israil ke liye barkat aur rahemat ka khazina tha, aur nusrat e khudwandi ke nuzul ka nihayat hi muqaddas aur bahetreen zariya tha.

Magar jab humesha ki tarah bani israil tarah tarah ke gunaho me mulawwis hogaye, aur  jab un logon me behayai aur bad almali aur had se sarkashi ka duar dura shuru hogaya to un ki bad amaaliyo ki nahusat se un par Allah ka ye azaab nazil hua ki qaume Amaalqa ke kuffaro ne ek bahot bada lashkar lekar un logo par hamla kar diya, aur un kaafiro ne bani israil ka qatle aam macha dala, aur unki bastiyon aur uski saari imarato ko nest o naabood kardala, yahan tak ki sare shaher ko barbad kar diya, aur sath hi is mutabarruk sandooq yani Taboot e Sakeen ko bhi utha le gaye, kyunki is Taboot e Sakeena ki unhe koi fazilat nahi maloom thi isliye unhone is paak aur muqaddas tabrruk ko nijasato ke kude me fenk diya,  lekin is Taboot ki be adabi ke baad un qaume Amaalqa par ye bawal aya ki ye log tarah tarah ki bimariyo aur balaon aur musibato me ghirna shuru hogaye, jisne unhe jhinjhod kar rakh diya, yaha tak ki is qaum ke paanch shaher bilkul hi barbad aur viran hogay, aur jab un kaafiro ko ye ahesas hua aur yaqeen hogaya ki ho naho ye us Taboot e Sakeena ki be adabi karne hi ka natija hai, to unki aankhe khul gayee, chunache unhone is muqaddas sandooq ko ek bail gadi par laad kar un bailo ko bani israil ke shaher ki taraf hank diya, fir Allah ne chaar farishto ko muqarrar farmadiya jo is Mubarak sandooq ko bani israil ke Nabi Hazrat Shamuwail Alaihissalam ki khidmat me le aye,

Is tarah ek bar fir bani israil ki khoi hui nemat unhe wapis mil gayee,ek baat aur arz karta chalu ki ye e sandooq ain us waqt Aap Alaihiissalm ke paas pahoncha ke jab Aap Alaihissalm ne Taalut ko badsha muqarrar kiya a tha,aur bani israil qaum Taalut ko badsha tasleem karne par tayyar nahi thi, aur ye hi shart thaheri thi ke agar muqaddas sandooq yani Taboot e Sakeena ajay to hum Taalut ko badsha tasleem kar lenge, chunancha Sandooq agaya aur sab ne uTaalut ko badsha tasleem kar lenge, chunancha Sandooq agaya aur sab ne uski badshahi qabool karli to ye bhi ek Allah ka un par karam tha ki uske nabi ki baato ko tasleem kare, lekin unke naseeb me cheez kaha thi pal me badal jaya karte the. Khair is par hum tafseeli guftgu kisi aur post me karnege aaj ka humara ye topic nahi hai,

Naazreen hum baat kar rahe the Taboot e Sakeena ki to ye bhi jaanna zaruri hai ki usme aakhir kya tha, to isbare me ek to ye hai ki wo Allah  ka diya hua tohfa tha jis ki qadar bani israil ko thi to zarur magar apni bad amaaliyo aur had se zyda sarkashi ki wajah se bar bar gawa diya karte the, dusre ye ki is muqaddas sandooq me Hazrat Musa Alaihissalm ka Asa Mubarak, aur Aap Alaihissalm hi ki Mubarak Nalain (Jootiya), Hazrat Haroon Alaihissalm ka Amama (Safa/Pagdi) Mubarak,Hazrat Suleman Alaihissalm ki Mubarak Anguthi, aur Assamani kitab Taurat ki kuch takhtiya, aur kuch Man-Salwa jo bani israil ki qaum ke liye Hazrat Musa Alaihissalm ke daur me Allah ata kiya karta tha, iske alawa Bahot se Ambiyae karam ke surato ke huliye wagaira sab samaan the. 

Allah Paak ne Quraan majeed me is Taboot e Sakeena ka zikr Surah Baqar me Ayat No.248 me kuch is tarah farmaya hai …

وَ قَالَ لَہُمۡ نَبِیُّہُمۡ اِنَّ اٰیَۃَ مُلۡکِہٖۤ اَنۡ یَّاۡتِیَکُمُ التَّابُوۡتُ فِیۡہِ سَکِیۡنَۃٌ مِّنۡ رَّبِّکُمۡ وَ بَقِیَّۃٌ   مِّمَّا تَرَکَ اٰلُ مُوۡسٰی وَ اٰلُ ہٰرُوۡنَ تَحۡمِلُہُ الۡمَلٰٓئِکَۃُ ؕ اِنَّ فِیۡ ذٰلِکَ لَاٰیَۃً لَّکُمۡ  اِنۡ  کُنۡتُمۡ مُّؤۡمِنِیۡنَ

Tarjuma : aur unn say unn kay nabi ney yeh bhi kaha kay :  taloot ki badshahat ki alamat yeh hai kay tumharay paas woh sandooq ( wapis ) aajaye ga jiss mein tumharay perwerdigar ki taraf say sakeenat ka saman hai , aur musa aur Haroon ney jo ashiya chorri then unn mein say kuch baqi maandda cheezen hain . issay farishtay uthaye huye layen gay   agar tum momin ho tu tumharay liye iss mein bari nishani hai .

Yahudi Taboote Sakina kyu Dhoond Rahe hain

Dosto ab sawal ye uthta hai ki ye muqaddas taboot filhal hai kahan aur yahudi qaum ise dhoond kyu rahi hain, to iska jaiza lene hume maazi ki tawarikh dekhna bahot zaruri hai aur Taarikh ka mutalla karne ke baad hume pata chalta hai ki jab bani israil firAun se nijat hasil karne ke baad filisteen me akar abad hogaye hazrat Musa Alaihisalam ke guzarne ke bani israil ki rahnumai hazrat Taalut Alaihissalam Hazrat Daud Alaihissalam aur Hazrat Suleman Alaihissalam ne ki, ye bataya jata hai ki Hazrat Daud Alaihissalm ne Hazrat Taalut Alaihissalam ki sahebzaadi se nikah/Shahdi  ki aur taarikh ki kitabo se pata chalta hai ki Hazrat Daud Alaihissalm hi ke dil me Taboot e Sakeena ki hifazat se mutallik ek imarat banane ka iradah zahir hua, aur Aap Alaihissalam ne iski hifazat ke liye ek imarat taamir karne ka faisla jaari kiya ye imarat Hazrat Suleman Alaihissalm ke duar e Nabuwat me poori hui aur iska naam Haikal e Sulemani ka naam diya gaya,


Is imarat (Haikale Sulemani) ke bare me hum fir kisi post me discuss karenge Insha Allah


Fil hal aage arz kare to ye imarat jis ka naam haikal e Sulemani tha, badi iazzat o barkat ki hamil thi, jaise humare nazdeek Kaaba tullah aur Aap Sallallaho Alaihi Wasllam ka roza e Mubarak hai, Taboot e Sakeena is imarat ek kamre me ahele babul ke humle tak mahefooz raha, aur Aap Hazrat Suleman Alaihissalam ke wafat e aqdas ke baad bani israil bari bari tanah har saal us Haikale Sulemani ke kamre me jaate aur us Taboot e Sakeena me rakhi hui cheezo ki safai kiya karte the, aur is muqaddas kamre me ibadat aur dua kiya karte the,

Ab sawal ye hai ki itna Mubarak sandooq itni hifazat ke bawajood gaya kahan?

Iske bare me do rivayaat  taarikh ki kitabo me aati hai ki ye Taboot e sakeena Haikale Sulemani me Qudas (kamra jahan ye rakha hua tha) ke undar Ahele Babul ke hamle tak mahefooz raha, aur digar rivayaat me ye bhi hai ki Ahele Babul hi ise apne sath le gaye, aur ek rivayat me ye bhi hai ki Allah ne ise aasman par uthaliya. wallaho Aalam bissawab.

Aur Yahudi sadiyon se ise yani Taboot e Sakeena ko talash kar rahe hain,aur unka dawa hai ki ye Taboot e Sakeena ab jahan Masjid-e-Aqsa waqee hai us jagah pehle Haikale Sulemani taamir tha, aur usi ke andar Taboote Sakeena tha, isiliye wo pur zor koshish kar rahe hain ki Masjid-e-Aqsa ko shahid kar Taboote Sakeena hasil kar saken, aur usi jagah fir se Haikale Sulemani Taamir Karen jis ka baqaida naqsha bhi inhone tayyar kar chukka hai, aur muqaddas taburrukat ki talash ke naam par Masjid-e-Aqsa ki buniyadon ko kaafi had tak kharab kardiya hai, Yahudiyo me ye aqeeda hai ki Haikale Sulemani ki ek diwaar me ek poshida darwaze se hi unka aakhri Rahebar aur badshah wapis ayega,

jis hum Dajjal ke naam  se jaante hai ya humne kaafi Hadeese bhi iske mutalliq sun rakkhi hai Insha Allah is par bhi hum ek tafseeli gufutgu apni kisi post me karegne Insha Allah

Baher hal, Yahudi samjhte hain ki is darwaze se unka badshah niklega to uske sath uski poori fauj bhi niklegi, aur wo puri duniya par raaj karenge,Isi liye wo jald se jald masjide Aqsa ko shahid kar Taboot e Sakeena ko dhoonda chahte hai aur fir usi jagah Haikale Sulemani Taamir kar ke Apne Badshah ke liye yani Dajjal ke liye raasta humwar karna chahte hain.

Naazreen agar aap chahte hai ki isi tarah hum Haikale Sulemani ke bare me tafseeli post kare to comment me zarur kahe, Insha Allah hum zarur koshsih karege aur pasand aane ki surat me dost o ahebab ko bhi share Karen, sath ise video ki shakal me samat karne ke liye humare YouTube Channel Islamic Wonders ko bhi zarur visit kare aur subscribe kare.

Isi ke sath ab roukhsat hote hain fir muaqat hogi ek nay Topic ke sath Allah Hafiz and Jazak Allah

Is Blogg ko video ke shakal me dekhne ke liye link par click karen

Taboote Sakina Kya hai? | Yahudi Taboote Sakina kyu Dhoond Rahe hain | Taboot e Sakina



جزاكم الله خيرا

2 comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.