Paancho Namzo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders
بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
Assalam
Alaikum Naazreen
Mai
Mohammad Hussain khan ek bar fir aapka kahir maqdam karta hun apne
is Website par jis ka Naam hai #Islamic
Wonders
Doston
hamesha ki tarah shruru karne se pahele aapka bahot bahot shukriya ki aap
dobara humare is Website par tashreef layen, aap se guzarish hai ki
hausla afzai ke liye hume comment ya fir email ke zariye apni qeemti ya salah
aur mashware se nawaze, sath hi apne dost ahebab ko bhi sawab ki niyyat se
share Karen Jazak Allah.
Sath hi
humare YouTube Channel par visit Karen - #Islamic
Wonders
New
: Dosto bade masarrat ke sath aapko ittela de rahe hain ki humne ek aur website
add ki Hai (Gulshan-e-Hadees) jiska link aapko neech de rahae hai ya sath hi
aap Main Menu baar se bhi uska intekhab kar sakte hain, Jisme hume tamam
Hadeeson ka Majmua karne ki niyyat rakhte hain. Insha Allah agar Allah ka Fazl
auaapka sath yun hi raha to jald hi use mukammal taur par complete kar lenge
Insha Allah.
Paancho Namzo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders
Nazreen Aajka humara topic mere liye bahot hi khaas hai
aur ummid karta hun ki aap logo ko bhi ye bahot pasand ayega.
Dar Asal dosto aaj jis topic par hum aaj baat karenge wo
Namaz ki farziyat ko leke hain,
Naazreen jaisa ki aap sab jaante hain ki Allah ne shuru
me ( 50 ) pachas waqt ki Namazen hum par farz ki thi. Aur fir Aap Swallallaho
Alaihiwasallam ke sadqe paitalis 45 Namazen maaf kardi, maaf hi nahi balki ye
bhi karam kiya ki in paanch Namazon par pachaas Namazon ka sawab diya jayega.
To aap mai bakhoob hi samajh sakte hain ki 24 ghanto me
pachaas Namazen farz hona koi baat nahi, balki ye iski gair mamuli ahemiyat ki
dalil hain.
Lekin doston shayad ye bahot kam log jaante honge ki
paanch namazon ki asal haqeeqat kya hai? Aur ye paanch namazen hum par kaise
farz hui, ya yun kahiye ki hum se pahele ye Namaz kis ne ada ki in paanch
namazon ki asal haqeeqat kya hai?
To Aap se guzarish hai ki Blog
ko dhyan se Padhe aur pasand ane ki surat me like zarur Karen sath hi dost
ahebab ko bhi zarur share Karen,aur agar aap humare is site par naye
hain to hume follow Karen Islamic Wonders ko subscribe karna na
bhule taaki aapko humare aane wali
naye articles ke notifications aap ko asani
se mil sake, q ke dosto Islam ke aise anchue facts hum blog ki shakal me aapke
paas late rahegne Insha Allah
Naazreen ye baat bahot kam log jaante hain ki ki jo Paanch waqt ki Namaze
hum ada karte hain dar asal sabse pahele ye Namaze kisne ada ki hai aur ye kin ahemiyat ki hamil hain, to naazreen
rivayaton me ata hai ki
Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders
Namaz e Fazar
: sab se pahele ye Namaz Hazrat Aadam
Alaihissalm ne ada ki,
Wo aise ki jab Allah ne Aap Alaihissalm ko Jannat se se
zameen par utara, us waqt zameen par raat ka andhera naudaar tha, aur Aap Alaihissalm Jaanat ki raoshnai se
duniya ki tareekiyon me jalwa afroz hue the, andhera itan Ghana tha ki us waqt
hath ko hath sujhai na deta tha, aur Aap Alaihissalm
ko badi tashwish aur pareshani
lahaque hui ke ye duniya itni tareek hai, yahan zindagi kaise guzregi? Na koi
cheez nazar aati hain, na hi koi jagah samjh aati hai, ki kahan hai aur kaha
jay? Har taraf andhera hi andhera hai, chinancha Aap Alaihissalm ko
khf mahesus hone laga.
Iske baad ahista ahista ahista roshni hone lagi aur
subah ka noor chamakna shuru hua, aur
subha sadiq zahir hui to Hazrat Aadam Alaihissalm
ki jaan me jaan aye, is waqt Aap Alaihissalm ne suraj tulu hone se pahele do 2 rakat Namaz
bataur shurana ke ada ki, ek rakat raat ki tareeki khatm hone ke liye aur dusri
rakat din ki raoshi namudaar hone ke liye bataur shukrana ada ki.
To Naazreen ye wo do rakat Namaze Fajar hai jo Allah ko
itni pasand ayee ke Apne Maheboob Swallallaho Alaihiwasallam ki Ummat bakh par
farz farmadiya.
Nazreen is se hum bakhoob hi andaza laga sakte hain ki
Namaz fajar kitni ahem hain.
Aur hum gunahgaar isko apne bistaro me zaya karten chale
arahe hain. Doston zara hum apne imaan ka jayza le ki hum Ummid rakhte hain ki
Aap Swallallaho Alaihiwasallam humari shifaat karenge aur beshak zarur karenge
Allah ne wada jo karliya hai.
Lekin samjhne ki zarurat hain ki jo imaan hume bistar se
utha kar musalle tak nahi leja sakta, kya wo qabr se utha kar jaanat tak leja
payega?
Allah sab se pahle mujhe aur sari Ummat ko Panjgana Namaz
qana Namaz qayam karne wala banade Ameen
Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders
Nazreen aage badhte hain,
Nama e Zohar
: sab se pahele ye Namaz Hazrat Ibrahim
Alaihissalm ne ada ki,
Isi tarah Zohar ki 4 rakat jo ham ada karte hain yah
sabse pahle Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne ada farmaee thi , Aur use waqt ada
farma thi jis waqt Aap Alaihissalm apne bete Hazrat Ismail Alaihissalm ko zibah
karne ke imtihan mein kamyab ho gaye the.
Ek rakat to is imtihan me kamyabi per shukrana ke taur
per ada farmaee ki Ya allah tera shukr hai teri madad se main is imtehan mein
kamyab ho gaya.
Dusri rukat is baat ke shukrane mein ada farmaye ke allah
tala ne Hazrat Ismail Alaihissalm ke vaaste jannat se ek medha ya dumba utaar diya Kyunki yah bhi allah tala ka
ek khususi inam tha isliye iske shukrane ke taur per dusri rakha dada farmaee.
Teesri rakat is
shukrane mein ada farmae ke Allah tala ne is Mauke per barahe rast Hazrat
Ibrahim Alaihissalam se khitab karte hue farmate hue kaha ki
“Aye Ibrahim bila
shubah tumne apna khwab saccha kar dikhaya hum neko karon ko isi tarah badla diya
karte hain”
Ise khitab ke shukrane ke taur per teesri rakat ada farmai
Chauthi rakat is baat ke shukrane mein ada farmaee ke
Allah tala ne aisa sabir beta ata farmaye jo is sakht imtihan ke andar bhi
niyat sabir ho matahmill raha ,Aur ek sabr ka pahad ban gaya.
Agar vah mutzalzal ho jata to mere liye Allah ka hukm
pura karna dushwar ho jata chunache
khwab dekhne ke bad, bete hi se mashwara kiya ke bete maine yah khwab
dekha hai. tum gaur kar lo tumhara kya
irada hai?
Doston Qurban Jayiye aise bête par
bete ne jawab diya
abba jaan Aapko jo hukm mila hai wo aap kar gujariye hai an-qareeb Inshallah
aap mujhe sabr karne walon mein se payenge
Aise sabir aur mutahmmil beta milane ke shukrana mein
chauthi rakat ada farmaee
Is tarah yah char rakat Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne
Zohar ke waqt ada farmay thi
Yahi wo 4 rakat
namaz hain jo Allah tala ko itni pasand aayi ke apne Mahebub sarkare do alam
Swallallaho Alaihiwasallam ki ummat pat
farz farma di
Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders
Namaz e Asar : sab se pahele ye Namaz Hazrat Yunus Alaihissalm
ne ada ki,
Isi tarah namaz asar ki farziyat yun hui ke
Namaz asar ki 4 rakat sabse pahle Hazrat Yunus Alaihissalm ada
farmaee
Huwa yu ke jis
waqt Aap Hazrat Yunus Alaihissalm machhali ke pet mein the vahan unhone Allah
tala ko pukara jisko allah tala ne is tarah nakal farmaya
“Chunache
Unhone hamen tarikiyon mein pukara ke la ilaha illa anta subhanaka inni kuntu
minaz zalimeen .. To humne inki dua
qabool kar li aur humne inko is ghutan se nijat de di jo unko machhali ke pet
mein ho rahi thi isi tarah ham imandaro ko nijaat dete hain “
Lehaza jab allah tala ne unko machhali ke pet se bahar
nikala to unhone shukrane ke taur per char rakat namaz ada ki aur 4 rakaten
isliye Ada farmaee thi ke Allah tala ne unko 4 tarikiyon se nijaat ata farmaee
thi
Ek machhali ke pet
ki tariki se
Dusre pani ki tariki se
Teesri dil ki tariki se
Aur chauthe raat ki tariki se
In 4 tarikiyon se nijaat per shukrane ke taur per aapane
asar ke waqt ada ki jo Allah ko itni
paband hui ke Humare Sarkaar ko humare liye farz qarar dediya Masha Allah
Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders
Namaz e Magrib
: sab se pahele ye Namaz Hazrat Daud
Alaihissalm ne ada ki,
Nazreen maghrib ki
teen rakaten sab se pahle Hazrat Daud Alaihissalm ne ada farmaee, wo isliye
ki Aap Alaihissalm se koi na munasib kaam sarzad hogaya tha,
Yaha ek baat zahen me rakhna bahot zaruri hai ki agarche
Ambiya Alahissalam se gunah sarzad nahi hote, wo gunaho se maasum hote hain,
lekin koi na munasib kaam ya koi lagzish, ya koi khilafe adab koi kaam zarra
barabar bhi sarzad hojay to is par bhi inhe tanbiya ki jaati hain, aur in ko
tawajjo dilai jaati hain aur unki islah ki jaati hain,
Baher haal, Hazrat
Daud Alaihissalm ki kisi lagzish ke
baad jab Allah tala ne in ki bakhshish ka elaan farmaya ke “fagfirna lahu
zalik” yani humne unki maghferat kar di” to is waqt Hazrat Daud Alaihissalm ne
is bakhshish ke shukrane ke taur par magrib ke waqt 4 rakaton ki niyyat
baandhi, aur jab teen rakaten puri kar chuke the to iske baad achanak Aap Alaihissalm ko fir se apni wahi
lagzish ahesas hua aur Aap Alaihissalm
par aisa galba taari hua ke foot foot kar rone lage aur aisa girya taari hogaya
jis ki shiddat se aap chauthi rakat puri na karsake,
Chunanche Aap Daud
Alaihissalm ne teen hi par iktefa
karliya, q ke chuthi rakat padhen ki Aap Alaihissalm
ki Himmat na rahi
Ye hi wo 3 rakat Namaz hai jo Allah ne bahot pasand
farmaee aur Apne sab se pyare Maheboob ki Ummat ko bhi ata kardi jis hum Namaz
Magrib ke naam se ada karte hain.
Paancho Namazo Ki Asal Haqeeqat | Sabse Pahele Konsi Namaz Kisne Ada Ki | Islamic Wonders
Namaz e AIsha
: iske bare me do qaul hain ek qual ye
ki sab se pahele ye Namaz Hazrat Musa Alaihissalm
ne ada ki,
Jis waqt aap
hazrat shoaib alaihissalam ke pass 10 sal kam karne ke bad apne allah ke sath
mishra wapas tashrif la rahe the
Aur aapki sharir per hajat use waqt ummid thi Wiladat ka waqt kareeb tha
aur safar bhi khasa taweel tha is vajah se aapko badi fikra lahak thi ki
yah itna lamba safar kaise pura hoga
Dusre apne bhai hazrat haroon haroon Alaihissalm ki fikra
thi
teesre firaon jo
aapka jaani dushman tha iska aur uski taraf se fikr lahak thi
Chauthe hone wali aulad ki fikr lahak thi
inhi Pareshaniyo ke sath aap safar kar rahe the. fir
safar ke dauran aap sahi raste se bhatak gaye, jiski vajah se pareshani mein
aur izafa ho gaya, isi pareshani ke aalam mein chalte chalte aap kohe toor
pahad ke kareeb uske magribi aur daheni
janib pahunch gaye
Raat andheri thandi aur barfani thi aheliyan mohtarma ko
wiladat ki taklif shuru ho gai
Aap pathar se aag sugane ki koshish karte rahe magar vah
na sulgi
isi hairani aur pareshani ke aalam mein dekha ke kohitoor
pahad per kuchh aag jal rahi hai
To aapane apne gharwalon se kaha ki aap yahan ruke
rahen main kohe toor pahad se aag la
shola lekar aata hun jab aap kohetoor pahad per pahunche to Allah tala se ham
kalami kashyap hasil hua
A ur aapko bature khas ham kalami ki nemat se navaza gaya
Allah tala ne farmaya
“Jab vah use
aag pass pahunche to unko hamari janib se awaaz de mayo key Aye Musa
Alaihissalam! main tumhara hun aap apne jute utaar de isliye ki aap muqaddas
wadiye tavi mein ho aur main aapko apni risalat ke liye muntakhib kar liya hai,
Lehaza jo vahi aapki taraf bheji ja rahi hai usko gaur se sune”
Bahar hal jab allah tala ki jaanib se yah inam hasil huwa
to aapki charon pareshaniyo ka khatma ho gaya, aur Isi mauke par isha ke waqt Hazrat mMusa Alaihissalam
ne in 4 pareshaniyo se nijat ke shukrane mein 4 rakat namaz ada farmay
Yahi wo 4 rakat Namaz hai jo Allah tala ki bargah mein
itni pasand ki gai ki aap Swallallaho Alaihiwasallam ki ummat per unko farz kar
diya
Aur ek dusri riwayat main yah bhi hai isha ki namaz sabse
pahle hamare aur aapke Aaqa Janabe Muhammad Rasulullah sallallahu alaihi
vasllam ne ada farmai thi
***End***
Likhne me bahot waqt lagta hai agar koi galati dekhe to please islah ki niyyat se comment me zarur batae please
Pasand aane ki surat me dost o ahebab ko bhi share Karen, sath ise video ki shakal me samat karne ke liye humare YouTube Channel Islamic Wonders ko bhi zarur visit kare aur subscribe kare.
Pasand aane ki surat me dost o ahebab ko bhi share Karen, sath ise video ki shakal me samat karne ke liye humare YouTube Channel Islamic Wonders ko bhi zarur visit kare aur subscribe kare.
Isi ke sath ab roukhsat hote hain fir muaqat hogi ek nay Topic ke sath Allah Hafiz and Jazak Allah
Is Blogg ko video ke shakal me dekhne ke liye link par click karen
YouTube Channel : Islamic Wonders
We are waiting for Haikale Sulemani Article please post ASAP
ReplyDeleteWe Are waiting for Haikale Sulemani Article please post ASAP
ReplyDelete