بسم الله الرحمن الرحيم
Ummat Aur Mohammad ﷺ (Ek Mohabbat Bhara Waqiya)
Mohtaram Nazreen, Assalam Alaikum
Mai Mohammad Hussain Khan aapka fir khair maqdam karta hun apne is blog #Islamic Wonders, pe
Aur aapka tah dil se shukr guzar hun ki aap dobara mere is blog per tashreef laaye aur Allah se ummed rakhta hun ki aap aise hi humari hausla afzai karte rahoge, Insha Allah
Nazreen aapse guzarish hai ki Blog ya post ke baaren me comment me apni rai zarur den isse hume bahot hausla aur sabaq milta hai jazak Allah.
Nazreen aaj ka humara topic hai
Ummat Aur Mohammad ﷺ (Ek Mohabbat Bhara Waqiya)
Ek Baar jab Jibrail alaihissalam Nabi kareem ﷺ ke paas aye to *Muhammad Sallallahu alaihi wasallam* ne dekha ke Jibrail kuch pareshan hain. Aapﷺ ne farmaya Jibrail alaihissalam kya hua hai ke aaj mein aapko pareshan dekh raha hoon?
Jibrail alaihissalam ne arz kiya Aye Mehboob-e-kul Jahan, aaj mein Allah paak ke hukm se jahannum ka nazara karke aaya hoon aur isko dekhne se mujh par yeh gham ke aasaar namudar huye hain.
Huzoor ﷺ ne farmaya mujhe tum jahannum ke bataao ki tumne kya dekha? Jibrail alaihissalam ne bataya ke Jahannum k kul sath (7) darjat hain : Inme subse neeche wale darje me Allah isme munafiqon ko rakhega.
6 ve darje me Allah mushrik logon ko dalega.
6 ve darje me Allah mushrik logon ko dalega.
5 ve darje me Allah suraj aur chand ki parastish karne walon ko dalega.
4 the darje me Allah aatish parast logon ko dalega.
3 darje me Allah Yahudiyon ko dalega aur
2 darje me Isaaiyon ko Dalega. Yeh kehkar Jibrail alaihissalam khamosh ho gaye.
To Aapﷺ ne poochha Jibrail alaihissalam aap khamosh kyon ho gaye, mujhe bataaiye ke pehle darje me kaun hoga? Jibrail alaihissalam ne arz kiya aye Allah ke Rasool, pehle darje me Allah paak aapki ummat ke gunahgaron ko dalainge. Huzoor ﷺ ye sunte hi behad ghamgeen ho gaye aur Allah se duayen karni shuru keen.
3 din guzre chuke the ke Aap ﷺ masjid me namaaz padhne ke liye tashreef laate, namaaz padhkar hujre me tashreef le jate aur darwaza band karke Allah ke huzoor ﷺro-rokar fariyaad karte. Sahaba pareshan thay ke huzoor ﷺ par ye kaisi kaifiyat taari hui hai, masjid se hujre jate hai ghar bhi tashreef nahin le ja rahe hain?
Jab teen din guzar gaye to Syedna Hazrat Abu bakr رضى الله عنه se raha nahi gaya, unhone darwaze par dastak di aur Salaam kiya lekin salaam ka jawaab nahi aaya. Aap Syedna Hazrat Abu bakr رضى الله عنه rote hoye Syedna Omar رضى الله عنه ke paas aaye aur farmaya meine Salaam kiya lekin Salaam ka jawaab na paya lihaza ho sakta he aap ko Salaam ka jawaab mil jaye. Aap Omar رضى الله عgaye aur 3 baar salaam kiya lekin jawaab na aaya. Hazrat Omer ne Hazrat Salman Faarsi رضى الله عنه ko bhi bheja lekin koi jawaab na aaya.
Hazrat Salman Faarsi ne Hazrat Ali رضى الله عنه ko pura majra bayan farmayaaya. Hazrat Ali رضى الله عنه ne socha ki agar itne azeem shakhsiyaat ko salaam ka jawaab na mila to mujhe bhi khud nahi jana chahiye balki mujhe unki *Noor-e-Nazar Beti Hazrat Fatima(رضى الله عنها )* ko andar bhejna chahiye.
Lihaza aap ﷺ ne Hazrat Fatima ko sab ehwaal bata diya aur phir woh aap Hujre ke darwaze par aakar boleen *"Abba jaan Assalamu alaikum"*
Beti Hazrat Fatima رضى الله عنها ki aawaz sunkar *Mehboob-e-Kaynaat* uthe, darwaza khola aur Salaam ka jawaab diya.

Hazrat Fatima رضى الله عنها ne poocha "Ya Rasoolﷺ , kya baat hogayee hai ke teen din se aap yahan tashreef farma hain?"
Huzoor ﷺ ne farmaya ke Jibrail alaihissalam ne mujhe aagaah kiya he ke meri ummat bhi Jahannum me jayegi,
Beit Fatima رضى الله عنها mujhe apni Ummat k gunahgaron ka gham khaye ja raha he aur mein apne maalik se duayen kar raha hoon ke Allah unko muaaf kar de aur Jahannum se bari kar de. Itna kehkar aap ﷺ sajde me chale gaye aur rona shuru kar diya *Ya Allah meri Ummat,Ya Allah meri Ummat,Ya Allah meri Ummat* ke gunahgaron par rahem kar, unko Jahannum se azaad kar,
ke isi waqt ye Wahi aap ﷺ par nazil huyi

*وَلَسَوفَ یُعطِیکَ رَبُّکَ فَتَرضَی*
*Aye Mere Mehboob Gham na kare mai tum ko itna ata kar doonga ke Aap raazi ho jayenge*
Huzoor ﷺ khushi se khil uthe aur farmaya logon, Allah ne mujhse wada kar liya he ke wo roz-e-qayamat mujhe meri ummat ke maamle me khoob raazi karega aur mein jab tak raazi nahi hounga ki jab tak mera aakhri ummati bhi Jannat me na chala jaye...
Nazreen Hum Apna Jayeza le ki Hum Mohabbat ka dum to bharte hain magar waqaee Mohabbat Nibhate hain ? Apne Aaqa ﷺ se? Mohabbat ka taqaza to ye hai ki jo maheboob ko pasand wahi mashooque ki chahat ye sacchi Mohabbat hai, Hum kaha bas naame ke..
Namaz humare Aaqa ﷺ ki aankho thandak Humne chod di
Akhlaque Humare Aaqa ﷺ ka libas humne utar diya
Amanat Dari Humare Aaqa ﷺ ka Mizaj humne tark kardiya
Walidain ki Izzat humare Aaqa ﷺ ki Talim hum bhool gaye
Allah ka Khauf Humare Aaqa ﷺ ki Taqat hum gava baithe.. Ab kya kya likhoon aisa koi amal nahi hai jo humne Allah aur uske Rasool Aaqa ﷺ khilaf na kiya ho, mujhe to lagta hai humne bani israil ko bhi kaafi peeche chode diya (ye sirf mera sochna hai aap ki ya kisi aur ki rai mukhtalif ho sakti hai)
to kyu kar Allah hum pe maherbaan hoga, kyu wo humari madad karega are socho agar tum kisi se mohabbat karoge, aur us mohabbat ko koi maange to kya tum us doge? nahi na! aur agar de bhi diya aur us lene wale ne use dukh ya takleef de to aapka kya reaction hoga us lene wale ke khilaf aap to use barbad hi kardoge ya maar daloge ,
magar humare parwardigaar ki shaan dekho aur apna hi Maheboob ﷺ hume dediya aur hum be khauf uske maheboob ko naraz kiye jarahe hain, fir bhi wo Rub hum par azab nahi nazil karta, wo sirf sur sirf isi liye ki uska Maheboob ﷺ raat raat bhar humare liye rota raha humari maghferat ke Allah ko razi karta raha,
Nazreen ek Baat ka Jawab comment me zarur dena ki
Allah ne Hume bakhsh ke apni Mohabbat ka saboot diya
Mere Aaqa ﷺ ne hume bakhshwa ke apni mohabbat ka saboot diya
to kya humara bhi farz nahi Allah aur uske Rasool ﷺ ki itaat karke aur farmabardari karke apni mohabbat ka saboot bhi den?
Allah Sab se pahele mujhe aur fir saari Ummat ko Saccha aur Pakka Ummati banne ki taufeeque ata karen Ameen
Agar Zaruri Samjhe to dost wa ahebab ko share zarur karen baray Mohabbat
Aur sath Humare You Tube Channel ko bhi Subscribe Kare
You Tube channel - Islamic Wonders

No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.