بسم الله الرحمن الرحيم
70 Thousand Dead, live again | 70 Hazar Murden Zinda Hogaye | 70 हज़ार मुर्दें ज़िंदा होगए
Mohtaram Nazreen, Assalam Alaikum
Mai Mohammad Hussain Khan aapka fir khair maqdam karta hun
apne is blog #Islamic Wonders, pe
Aur aapka tah dil se shukr guzar hun ki aap dobara mere is blog
per tashreef laaye aur Allah se ummed rakhta hun ki aap aise hi humari hausla
afzai karte rahoge, Insha Allah
Nazreen aapse guzarish hai ki Blog ya post ke baaren me
comment me apni rai zarur den isse hume bahot hausla aur sabaq milta hai jazak
Allah.
Nazreen aaj ka humara topic hai ki kaise
70 Thousand Dead, live again | 70 Hazar Murden Zinda Hogaye | 70 हज़ार मुर्दें ज़िंदा होगए
Nazreen, Dar asal ye
waqiya Hazrat Hizqeel Alahissalam ki qaum ka ek bada hi ibrat khez aur intehai
nasihat aamez waqiya hai jis ko Allah ne Quraan majeed ki surah Baqar me bayan
farmaya hai,
Aage badhne se pahele ye jaan lete hain ki
#Hazrat Hizqeel Alaihissalam Kon the?
Ye #Hazrat Musa Alaihissalam ke teesre khalifa hai jo
Nabuwat se sarfaraz kiye gaye. #Hazrat Musa Alahissalam ki wafaat e aqdas ke
baad aapke pahele khalifa #Hazrat Yosha bin Noon Alaihissalam hue, jo Allah ke
Nabi hue, aapke baad #Hazrat Kalib bin Yohanna Alaihissalam, ko khilafat mili,
aur aap Nubuwat se bhi sarfaraz hue, fir inke baad #Hazrat Hizqeel Alaihissalam,
#Hazrat Musa Alaihissalam, ke janasheenn aur Nabi Hue, #Hazrat Hizqeel
Alaihissalam ka laqab Ibnul Ujooz hai yani (Budhiya ke Bete), aur aap Zulkufl
bhi kahelaten hain. Dar asal ibnul ujooz kahelaane ki wajah ye thi ki aap us
waqt paida hue jab aapki walida majeda bahot budhi ho chuki thi, aur Zulkufl is
liye hua ki aap ne apni kifalat me lekar 70000 Ambiya e Kiram ko qatl se
bachaliya tha, jin ke qatl par #Yahudi Qaum Amada ho chuki thi, aur fir Allah
ke fazl se aap bhi inki talwaron se mahefuz rahe aur barson hayat rahekar apni
qaum ko hidayat faramate rahin.
70 ThousandDead, live again | 70 Hazar Murden Zinda Hogaye | 70 हज़ार मुर्दें ज़िंदा होगए
Nazreen #70 Hazar
Murden Zinda hone ka waqiya ye hai ki, #Bani Israil qaum ki ek jamat jo #Hazrat Hizqeel
Alaihissalam ke shaher me raheti thi, Saher me Taaun (Waba / Plague) fail jaane ki
wajah unpar maut ka khauf sawar hogaya, aur
ye log maut ke khauf se sab ke sab shaher chod kar jangal ki taraf bhag gaye
aur wahin rahene lagen to Allah Rabbul Izzat ko unki ye harakat bahot zyada na
pasand guzri, lehaza Allah Taala ne ek azab ka farishta us jangal ki taraf bhej
diya.
Us farishte ne ek pahad ki jaanib se cheenkh mar kar buland
awaz se kaha “Allah ke Hukm se tum sab mar jao” aur is bhayanak cheenkh ko
sunkar sab ke sab bagair kisi bimari ke hi bilkul achanak mar gayen, jin ki
tadad #70000 batai jati hain,Un Murdon ki tadad is qadar zyada thi ki log unke Kafan wa
Dafan ka koi intezam na kar saken, aur un #70000 murdon ki laashen khule maidan
me be gor wa kafan aath “8” din tak padhi padhi sadne lagi, aur be inteha tahzan
aur badbu se poore jangal balki iske eteraaf me bhi badbu fail gayee, kuch
logon ne unki laashon par rahem kah kar Charon taraf se diwar utha di take
jangli janwaron se unki laashen mahefooz rahe saken.
Kuch dino baad wahin se #Hazrat Hizqeel Alaihissalam ka
guzar hua to aap apni qaum ke #70 Hazar
insano insano ki is maut e nagahani aur be gor wa kafan laashen dekh
kar bahot ranj hua aap par dukhon ke pahad toot padhe aur aap bahot aab deedha
hogaye, aur Baari Taal ke darbar me dukh bhare dil se gid gida ke dua mangne
lagen,
"Ya Allah ! ye meri qaum ke afrad the, jo nadani me ye galati kar baithe, ki maut ke dar se shaher chode kar is jangal me agaye, ye sab mere shaher ke bashinde hain, in logon semujeh unas hasil tha, aur ye log mere dukh sukh me mere sath hua karte the, afsos ki meri qaum hilaakhogayee, aur mai bilkul hi akela rahe gaya,"
"Ya Allah ! ye wo qaum thi jo teri humd bayan karti thi, aur teri tauheed ka elaan karti thi, aur teri kibriyaai ka khutba padha karti thi, "
#Hazrat Hizqeel Alaihissalam aap bade hi soz o gumke sath dua me mashgul the ki Allah ki taraf se wahi utar padhi ki Ay #Hizqeel Alaihissalam aap in bikhri hui haddiyon se kahe dijiye ki Allah ne tumhe hukm diya hain ki Ay haddiyon tum sab jama hojao" itan sun kar tamam haddiyan apni apni jagah jama hokar fir se haddiyon ke dhanche me tabdeel hogayee,
fir dusri wahi nazil hui, #Hizqeel Alaihissalam ab farmadijiye ki Ay haddiyon ab gosht posth pahen lo, jaise hi aap ne Allah kahukm sunaya turant haddiyon for gosth chadh gaya aur wo haddiyan jo abhi the sirf dhancha thi fir se insan ka jism ikhitiyaar karliya,
iske baad teesri wahi nazil hui #Hizqeel Alaihissalam ki ab kahe dijiye ki Allah hukm deta hai ki fir zinda hoajo,jaise hi app ke labon se ye lafaz nikly sari lashon me tawanai paida hogayee aur ek sath sab ki sab dam zadan hogayee aur be sakhta kaheti hui khadi hui "SUBHANA KALLA HUMMA WABI HUMDIKA WALA ILAHA ILLA ANTA"
Fir ye sab log jangal se rawana hokar #Hazrat Hizqeel Alaihissalam ke sath apne shaher apne apne gahron ko akar fir abad hodaye aur apni apni umro ke mutabik zindagi jee, magar unpe Allah ke is azab ka ek nishan baki rahe gaya ki unke jismo se sadi hui laashon ki manind badbu barabar aati rahi, aur wo log jo bhi kapda pahente the wo kafan ki tarah mail hojata, yaha tak ki nishaniya aaj tak un yahudiyon ke sath wabista hai jo un logo ki naslon se taaluk rakhte hai, aajbhi unke jismon se aisi hi badbu aat hai jaise kisi sadi hui lash ya fir kisi mare hue janwar ke jism se aati hain.
Is ajeeb wa gareebwaqiye ko Allah rubbul izzat ne Quraan majeed ki surah baqar #Ayat No.243 me bayan farmaya hai
Nazreen is waqiye se hume ye dars milta hain ki aadmi maut ke dar se bhag kar apni jaan nahi bacha sakta,lehaza jo maut Allah ne muqaddar kardi hai wo har haal me aake rahegi, Na ek second pahele ayegi na ek second baad, lehaza insan ko chaiye ki raza e ilahi par razi rahe kar sabir wa shakir rahe, aur khwah kitini hi waba faile ya ghamsan ki jang chid jaye itminan wa sukoon ka daman apne hathon se na chode, aur ye yaqeen rakkhen ki jab tak meri maut na aygi na mai mar sakta hun na koi mujhe mar sakta hai, aur agar meri maut Allah ne likhi hai to mai kuch bhi karun kahi bhi bhag jaun ya dat kar khada rahu mujhe Allah ke siwa koi nahi bacha sakta,
Yaad rakkho ye aqeeda rakhne wale is qadar bahaddur aur sher dil hojate hain ki dar aur buzdili kabhi iske qareeb nahi askti, #Islam ka bakhsha hua ye wo muqaddas aqeeda hai jiske sath mujhideen kafi kam tadad me bhi hazron ke lashkaron se bhid jaya karte the aur fateh mubeen inke qadmo ka bosa lene pe majboor hojaya karti thi,

Lehaza mere doston hume chahiye ki is waba me jo #corona
virus ke naam se is waqt duniya me faily hai iska dat kar muqabla karna hai,
aur khas kar wo afrad jinhe Allah ne zimmewariya ata ki hai jaise #Doctors,
Social worker qaum ke leaders, wo bhi apne mujahidi ka muzahera kare aur dar
kar apne zimmewariyon se muh na mode, beshak Allah qadir hai tumhe marne aur
jilane me,
Yaad rakkho ye aqeeda rakhne wale is qadar bahaddur aur sher dil hojate hain ki dar aur buzdili kabhi iske qareeb nahi askti, #Islam ka bakhsha hua ye wo muqaddas aqeeda hai jiske sath mujhideen kafi kam tadad me bhi hazron ke lashkaron se bhid jaya karte the aur fateh mubeen inke qadmo ka bosa lene pe majboor hojaya karti thi,
Aakhir me is Sher ke sath rukhsat chahta hun ki
Tal na Sakte the agar Jang me adh Jate the
Paaon Sheron ke bhi maida se ukhadh jate the
Huque se sarkash hua koi to bigadh jate the,
Taigue kya cheez hai? Hum topo se bhi ladh jate the
Inshal Allah fir mulaqat hogi ek nay topic ke sath ek nay
blog par tab tak ke liye Allah Hafiz Dua me yaad rakkhen aur pasand aane ki
surat me doston ke sath bhi share kare Jazak Allah.
Request : Humare You Tube Chennal ko bhi Subscribe kare

Subhan Allah
ReplyDelete